Wedding

10 Things Women Get To Hear At Weddings & No Uncle, Abhi Nahin Karni Mujhe Shaadi!

Aaliyah Jain  |  Jan 31, 2024
sexism

I dread going to wedding functions now. Ever since I turned twenty-eight, the only reason my relatives would come to me was to ask when was I getting married, along with hundreds of other senseless questions. 

In this article, we have mentioned some statements that every woman has heard at weddings that made us roll our eyes SO. DAMN. HARD! Take a look.

1. “Ab toh chhabbis ki ho gayi ho, shaadi kab karogi?”
Um aunty, when ‘I’ would feel like settling down. Oh, and you won’t be invited.

2. “Yeh pink colour tumhein suit nahin kar raha, koi neutral colour try karlo.”
Aap mind your own business karlo?

3. “Arre beta, weight gain kar liya haina? Kal se gym shuru kardo kyunki agla number toh tumhara hi hai.”
Haanji, kal se hi aapki membership start karwa deti hoon. 

4. “Baap re, yeh kaisa backless blouse pehena hai? Tumhe sharam nahin aati?”
Aati hai, par woh maine blouse ke kapde ke saath dusbin mein phenk di.

5. “Itni heels kaise pehen leti ho?”
It’s very simple: haatho se.

6. “Beta, ladkiyaan aise sabke saamne dance nahin karti.”
But uncle, your son was constantly looking at me. Why don’t you tell him not to look?

7. “Vidaai ho rahi hai, thoda ro lo.”
I will cry if you keep talking to me, bro.

8. “Haaye, tum openly hookah kaise pee rahi ho?”
Waise hi jaise apka beta pee raha hai aur challe bana raha hai.

9. “Tumahri mehendi toh badi dark hai, lagta hai tumhara pati tumhein bahut pyaar karega.”
Aur aapki toh bilkul light hai, ab kya hoga?

10. “Beta, thoda aur khana daal lo. Tumhara pati toh bhookha hi marr jaayega.”
Uske paas haath hain, woh khud bhi le sakta hai. Don’t worry.

Dear uncle and aunties, please stop pestering us!

Read More From Wedding